Aabla pa koi dasht mein aya hoga
Warna aandhi mein dia kis ne jalaya hoga
Aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha
Kashti kay musafir nay samandar nahin dekha
Ab to ghabra kay wo kehtey hain ke mar jaen gay
Mar kay bhi chain na paya to kidher jaen gay
Abhi abhi jo chale gae mun mor kay rukh mor kay
Wo marey hi shehr ke log they, mere ghar se ghar tha mila hua
Abhi kamsun nadaan ho, kahin kho do gay dil mera
Tumharey hi liay rakha hai le laina jawan ho kar
Achhay lagtay hein ghar kay puranay bartan
Chhat tapakti hai to keechar nahin honay detay
Aisa nahin ke aadmi achha nahin hai wo
Haan, jaisa hamara khawb tha, waisa nahin hai wo
Ajeeb geeli lakrian hein ye rishte-daar
Door rehen to dhuan den, qureeb aein to jal jaein
Ajeeb shaksh hai naraaz ho ke hansta hai
Mein chahta hoon khafa ho to khafa hi lagay
Apne bhi khafa muj se begane bhi na-khush
Mein zehr-e-halahal ko kabhi meh na saka qand
Apney dhuen ko chhor gia aasman par
Bujhtey huay de-ay mein kitna gurur tha
sheikhmsarwar@gmail.com
Monday, June 8, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment