Monday, June 8, 2009

Urdu Ashiyar (H-I-J-K) Meri Pasand - Sheikh Sarwar

Hota nahin hai khatm Qateel aas ka safar
Paoon katey huay hein magar chal rehay hein log

Hum kuch kehtey hein to wo kehtey hein bahut boltey ho
Chup rehtey hein to wo poochtey hein naraaz lagtey ho
Apney dil ki baat unhein kaisey samjaen
Izhar karte hein to wo kehtey hein mazaq kartey ho

Ik naam kia likha sahil ki rait par
Phir umar bhar hawa se meri dushmni rahi

Ikhlaas ki jageer ko hum ahley mohabbat
Taqseem to kar detay hein becha nahin kartey

Is bar jo eendhan ki tara cut ke gira hai
Sadion ka bhara piar tha us bhorey shajar mein

Is qadar bhi na jazbaat pe qabu rakho
Thak ga-ey ho to merey kandhey pe bazu rakho

Jab bhi tanhaee sey ghabra kar simat jatey hein
Hum teri yaad ke daman se lipat jatey hein
Un pe tufanon ko be afsoos hua karta hai
We safeenay jo kinaron pe ulat jatey hein

Jinhon ka ishq sadiq hai we kab fariaad kartey hein
Labon pe mohr-e-khamoshi dilon mein yaad kartey hain

Jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai
Unka har aib zamaney ko hunar lagta hai
Chaand taarey merey qadmon mein bichey jatey hein
Ye bazurgon ki duaon ka asar lagta hei
Ma’n mujhey dekh ke naraaz no ho ja-ey
Sar pe anchal nehin hota to dar lagta hai

Kahin nazar na lagay uskay dast-o-bazoo ko
Ye log mera zakhm-i-jigar keon dekhtay hein

Kanton se guzr kar chhoo aati hai phoolon ko
Titli ke paron ko kabhi chhiltey nahin dekha

Khat ke purzey ura raha tha
Hawaon ka rukh bata raha tha
Ik din ik ajnabi ko
Meri kahani suna raha tha

Khawbon ka kia hai Khawb to muhtaj hein ta’beeron kay
Apni ankhon ko na Khawbon kay hawale karna
Khushbu kay jaziron say sitaton ki haddon tak
Is shehr mein sub-kuch hai, bas teri kami hai

Kitni dewaron kay sa-ey haath phelatay rahey
Ishq ne hum ko magar be-khanman rehney dia

Koee pochhay ga to keh deingay, unsay bhejhay hein
Wagarna phool ham ne khud apney liay khariday hein

sheikhmsarwar@gmail.com

No comments:

Post a Comment