Monday, June 8, 2009

Urdu Ashiyar (M-S) Meri Pasand - Sheikh Sarwar

Mein ne bachpan mein majnun pe Asad
Sang uthaya tha ke sar yaad aya

Mein jab bhi chooney ussay haath bharata hoon Kabeer
Wo mere saamnay rangon mein bikhar jata hai

Mein phool tha, who mujhe rakh ke bhool gia
tamam umr meri guzri usi ki kitab mein

Mohabbat bandgi hai, is mein tan ka qurb mat mango
Ke jis ko chhu liya ja-ey, usko puja nehin kartey

Mohabbat se, inayat se, wafa se chot lagti hai
Bikharta phool hoon mujh ko hawa se chot lagti hai

Muddaton tak na-murad-Aagehi tha aadmi
Tap gia jab ishq ki garmi se, insane ho gia

Na koi khawb hamarey, na tabeerein hein
Ham to paani pe banaee hui tasveeren hain

Phir wohi zakm ubhar a-ay hein jo bhar ga-ay they
Aaj boseedah say khuch khat jo rasalon mein milay

Qalam utha-ya tha tera naam likhnay ko
Kambakht ne magar teri tasveer bana dali

Raat bhar dehleez pe bethi rahin aankhein meri
Tu na aya to koi khawb hi bheja hota

Raat din zairey zamin log chaley jatey hein
Nahin maloom the-i-khaak tamasha kia hai

Rah tareek sahi, phir bhi miley gi manzil
Sirf aik azm ki qindeel jala di ja-ey

Saamney hei jo usay log bura kehtay hein
Jisko dekha hi nahin usko Khuda kehtay hein
Faaslay umar ke kuch aur barha detay hein
Janey kioon log usko bhi dua detay hein

Sab kahan khuch lal-o-gul mein nama-yan ho ga-een
Khaak mein kia hastian hongi ke pinhan ho ga-een

Samamdar teri khamoshian kuch aur kehti hein
Magar sahil pe tuti kashtian kuch aur kehti hein
Ham ahley shehr ki khahish, mil jul kar rehein lekin
Ameer-e shehr ki dilchaspian kuch aur kehti hein

Shaam se unkey tasawwar ka nasha tha itna
Neendh a-ee hai to aankhon no bura mana hai

Sha-id isi liay hamein manzil na mil saki
Jitney bhi log ham-ko miley rahbar miley

Shakhon ne jin ko bojh samj kar gira dia
Pattey wohi hawaon se aaghey nikl ga-ey

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
Jis shaakh pe betha hai wo toot bhi sakti hai

sheikhmsarwar@gmail.com

No comments:

Post a Comment